|
Dhani Ray Dhani
Chunariya Dhani
Oday Badal Kay Saaye Main Lehraye Gi
Mujhay Tarpaye Gi Chali Jayegi
Jaisay Bijuriya Mastani
Halkay Jhonkay Ki Soorat Main Chhoo Jayegi
Sharmaye Gi Aur Itraye Gi
Jaisay Nadiya - Deewani
Saye Main Uskay Barsoon Ka Jaga
Main So Jaon
Uski Sajti Sawarti Dhanak Main
Main Ghar Banaon
Apnay Ghar Main Kaye Chand Taray Utaron
Sajaaon
Khusboon Say Bharay Raaston Main Khojaon
Rung Uskay Baarish Main Dhulkay Hain Khiltay
Aur Nikhartay
Roop Uskay Zameeno Kay Chehron Say Miltay
Aur Sawartay
Uskay Andaz Jaisay Hain Mosam Aatay Jatay
Uskay Sub Rung Hanstay Bastay Jagmagatay |