Chahain Hum Sabhi Itna Hi Sundar Kal
Jaisay Thum Gaye Ho Aaj Ka Yeh Pal

Kitna Pyaara Hai
Kitna Pyaara Hai Yeh Pal

Ankhon Main Hai Bus Ek Sapna
Kay Laboon Pay Ho Bus Ek Naghma
Kay Faaslay Ho Kum
Hum Hain Doori Na Rahay

Jaisay Raat O Din Ka Milna
Jaisay Sehra Main Phoolon Ka Khilna
Aur Pyaar Ka Diya
Dil Main Ab Jaltay Rahain

Aur Uski Roshni
Yeh Kehti Rahay
Yeh Kehti Rahay